KAASH HUM MILE NA HOTE…

STORIES
Kaash Hum Mile Na Hote

Kehte hain ki har kahaani ka ant achaa hona chahiye par is kahaani ka ant bura hokar bhi acha saabit hua.

Ye kahaani hai un do logon ki jinhone apni zindagi mein ek dusre se pyar kiya nafrat bhi ki aur sath hi dhokha bhi diya.

PRESENT:

Kashish har din ki tarah subah uthkar ready hui aur office jane lagi ki tabhi use yaad aaya ki wo apna chashma study table par hi bhul gayi hai. Usne sab samaan liya aur nikal gayi apne safar par. Gumsum rehnewali Kashish aaj na jaane kyun mann hi mann khush thi. Sad song ki jagah aaj wo romantic songs sun rahi thi.

Office ponchkar kar apne kaam me mashroof Kashish ko pata hi nahi chala ki pichhe uske manager use dekh khush ho rahe hain or unke hath mein increment letter hai. Kashish ne dekha to manager ko wish kiya. Manager ne sabko bulaya aur kaha miliye hamari nayi team leader miss Kashish se. Ye sunte hi Kashish ko samajh nahi aa raha tha ki kya ye sach mein mera hi naam le rahe hain. Sabhi ne kashish ko khush hokar congrats kiya.

Sabse milne ke baad manager ne Kashish ko uska naya cabin dikhaya aur sath hi us shakhs se milaya jisne Kashish ke promotion ka kaha tha.

Us shakhs ko dekhte hi Kashish ki aankhon mein aansun aa gaye aur   sath hi wo sab baatein yaad aa gayi jinhe wo har din bhulana chahti thi.

Wo shakhs tha -Aryan..us company ka naya branch manager.

Jaha Kashish khud mein me kho gayi thi wahin Aryan sirf use dekh hans raha tha jese usne koi jeet haasil Karli ho. Koi adhura kaam tha jo pura karliya ho.

Akhir kya thi wo baat jise Kashish aur Aryan dono alag alag emotions k sath dekh rahe the?

10 SAAL PEHLE:

Kalindi kunj school:

Subah ka first lecture aur Aryan ki taazgi full on.school topper tha aur har teacher ka favourite student.

To wahi dusri taraf last bench par baithi Kashish apni friends ke sath comics pad rahi thi.

Jaha Aryan shaant or sharmila tha  to wahin  Kashish hamesha bolnewali. Maths teacher class mein aate hain aur sabko next week honewale talent hunt show ke baare mein batate hain.

Rule isme simple sa tha ki do pairs banenge but dono opposite,dono ek dusre ke friends nahi honge,same gender ke nahi honge aur sabki teams already bana di gayi thi committee ne.

Fir kya tha sab apne partners ke sath khade ho gaye aur isi ke sath pehli baar jodi bani Kashish aur Aryan ki.

Sab apne partners ko janne ki koshish karne lage ki kisme kya talent hai  par yaha sirf khamoshi thi aur Kashish ki awaaz. Aryan se Kashish kuch bhi puchhti to wo bas utna jawaab deta fir chup ho jata.

Kashish ne plan bnaya ki kyun na wo dono dance performance karen talent hunt show me wo bhi classical and western combo. Pehli baar chup rehnewala Aryan zor se khush hua jese Kashish ne uske mann ki baat keh di ho jise wo hmesha se kehna chahta tha, fir kya tha sabne Aryan ka wo roop pehli baar dekha aur shock me rahe.

Aryan is baat ko sun Kashish se kehne laga ki main classical karunga tum western karna. Kashish bhi ready ho gayi kyunki western dance uska favourite tha.

Dono school ke baad dance practice karne lage aur sath hi ache dost ban gaye. Dosti ki sabse badi mehek yahi hoti hai ki wo doston ki aadtein change krdeti hai.

Talent hunt show finale:

Khud mein magn Kashish aur Aryan ne esa perform kiya ki waha baithe har shakhs ne khade hokar taaliyan bajayi aur isi ke sath un dono ka naam pehli baar sath me liya gaya-KAYAN

Fir kya tha ,ye dosti school aur fir college tak chali par kehte hain na har story mein ek twist hota hai,is kahani ka twist Kashish aur Aryan ki zindagi mein dastak de chuka tha-Mridul.

Mridul Kashish ka neighbour tha aur sath hi uska honewala future husband. Ek din Kashish aur Aryan Kashish ke ghar gaye to waha Mridul aur uski family the aur sabne unke aate hi bomb for diya Mridul aur Kashish ki engagement ka. Ye sunte hi jaha Kashish chup ho gayi wahin  Aryan ko pehli baar Kashish ke dur jaane ka ehsaas hua. Wo kuch smjh hi nhi paya is nayi feeling ko jo use aaj mehsus hui.

Usne kashish aur Mridul ko congrats kaha aur waha se chala gya.Wahi Kashish bhi sbke bich hokar bhi kahi khoyi hui thi. Mridul ye sab dekh raha tha aur usne alag hokar Kashish ko keh hi diya ki I know tum dono ek dusre ko pasand karte ho. Par agar aaj me ye na karta to tum dono ko kabhi is baat ka ehsaas na hota ki tum dono mann hi mann ek dusre se pyaar karne lage ho.

Rishton mein naya Mod:

Mridul ki ye baat sunkar Kashish jese khush si ho gayi aur Mridul ko gale laga liya,par kehte hain na jo dikhta hai wo hota nahi. Aryan ke paas Kashish ki notebook reh gayi thi jo exams ke liye use chahiye thi,wo lautaane gaya aur Kashish aur Mridul ko ese dekh chup reh gya aur bina kuch puchhe samjh gya ki Kashish Mridul ke sath khush hai.

Har dosti ka ant pyaar ki shuruat hoti hai-kashish isi baat ko soch college jaane lagi ki tabhi waha Mridul aa gya aur kaha ki kyun na sath chale? Aryan ko jalaate hain so that wo khud tumse ye baat kehde that he loves uh a lot. Kashish is baat ko maan gayi aur Aryan ko samne aata dekh Mridul ke sath chali gayi.

WahinAryan ye sab dekh andar hi andar tut ta jaa raha tha aur fir usne Kashish se dur jaane ka faisla kar liya,isme uska sath diya Mehak ne,jo studies mein Aryan ki competitor thi. Aryan and Mehak ka school time se competition rehta tha ki kon jyada score karega? Kashish ko dekh Aryan aur Mehak bhi hasne lage aur ye sab dekh Kashish ko bhi wohi galatfehmi hui jo Aryan ko hui thi. Dono ne is galatfehmi mein khud ko ek dusre se bahut dur kar liya tha.

FINAL YEAR :

Aaj college ka akhiri din hai aur isi ke sath Kashish aur Aryan ki untold lovestory ka bhi. Kashish aur Mridul ko sath mein dance karta dekh Aryan khud ko rok nhi paya aur usne Mridul ko dhakka de diya aur Kashish se kaha ki bahut khush ho tum? Kyun nah ho amirzadi ko yahi to chahiye tha..mera istemaal kiya school passout karne mein aur jab koi mil gya to ignore kardiya waah. Ye dekh Kashish ne bhi kaha ki tujhse koi baat tak nahi karta tha,mene tujhe dost bnaya tha aur tune bhi to girlfriend bnali. Tujhe konsa fark padta hai main roun ya hasu.

Fir kya tha,Mridul aur Mehak ne aag me ghee ka kaam kiya. Dono ne ek dusre ke baare mein kayi galat baatein kahi aur ye dono us baat ko sach maan baithe aur samajh hi nhi paye ki inki dosti jaanbujhkar Mridul aur Mehak ne tudwai hai..jo talent hunt show me first aate aate reh gaye the.

Dono ne ek dusre se kabhi na milne ki kasam khayi aur dono us sheher ko alvida kar apne-apne sapne pure karne chale gaye lekin apni zidd aur behaviour wahin chor gaye. Jaha Kashish ab chup rehne lagi thi to wohi dusri aur Aryan khush rehne laga tha. Dono dur hokar bhi khud ko ek dusre ki tarah banana lage the.

Kehte hain na sach jayada din tak nahi chhupta,facebook par Mridul aur Mehak ki shadi ki photos dekh dono shocked the aur fir jab unki profiles check ki to sab sach pata chal gaya ki kis tarah dono ne milkar unhe dur kiya hai aur apna badla liya hai. Ye sab dekhkar dono guilt mein the  par itne time se dono chup the aur ab ye bhi nhi jante the ki kon kaha rehta tha,kesa hai bas ek chiz same thi-sorry kehne ki talab.

PRESENT:

Bhagwan ne bhi dono ki suni aur Kashish aur Aryan ko ek hi company me job mili. Jab Aryan ki posting us shehar me hui jaha Kashish thi to uska Khushi ka thikana na raha.Usne turant Kashish ka promotion karwa diya so that ab wo uske sath ke cabin me rahe aur jo galatfehmi pehle hui use wo firse na dohraye.

Manager ke waha se jaate hi Kashish aur Aryan ne ek dusre ko sorry kaha aur gale lagkar rone lage.

Kashish puri change ho gayi thi,jese Aryan tha bilkul vesi wahin Aryan bilkul Kashish ban gya tha.

Dono ne office ke baad dinner kiya aur finally sach baat ek dusre ko kehdi ki dono ek dusre se bahut pyaar karte hain.

Ab dono ka hashtag firse famous ho gya-#KAYAN

Apni families se baat karke dono ki engagement ho gayi aur fir shadi ki tayarriyan shuru ho gay. Isi bich Kashish ko abroad se offer aa gya or dono ne mutual consent se shadi postpone kardi.Long distance relationship pyaar ko badaati bhi hai aur sath hi kai bewajah shakk bhi laati hai. Aryan ne drink karna start kardiya tha aur reh reh kar use Kashish ki yaad aane lagi thi. Usne indirectly Kashish ko job se nikalwa diya so that wo uske paas wapis aa jaye. Hua bhi esa hi,Kashish wapis aa gayi par use jald hi is baat ka pata chal gaya ki uski job Aryan ki wajah se gayi hai. Wo is baat ko jitna bhulaane ki koshish karti Aryan ko dekh use fir wohi sab yaad aata aur finally usne divorce lene ka faisla liya.

Aryan ne apni galti mehsus ki aur divorce dekar abroad chala gaya aur Kashish ab firse pehle jaisi zindagi jeeti hai aur ek MNC company mein Branch Manager hai.

MORAL

“Zindagi apko sabkuch deti hai par use sambhalkar rakhna bhi apko aana chahiye.Kisi se pyaar karne ka matlab ye nahi ki use hamesha apne paas rakhna ya uski har galti ko nazarandaaz kar dena.Jaha apki self respect ho-wo kadam chunna chahiye fir samne apka apna hi kyun na ho.”

1 thought on “KAASH HUM MILE NA HOTE…

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *